Ads Right Header

Buy template blogger

Mobile se blogging ke liye 5 best android apps

Mobile se blogging ke liye 5 best app
Ke bare me aaj mai aapko btaunga

Namskar ,hello friends

Aaj jis topic ke bare me mai aapko btaunga wo aapke liye bahut hee helpful sabit hongi


Kyuki aaj mai aapko jo apps ke bare me btane wala hu wo aapko mobile se blogging karne ke liye
100% helpful lagenge

Aapne socha hoga ki aap bina computer ya laptop ke blogging nhi kar sakte ho aur aapko blogging ka bahut
Shauk bhi hai to aap blogging nhi kar paoge
Kyuki blogging ke liye bahut se aise kam bhi hote hai. Jo sirf aur sirf computer ya laptop se hee kiye ja sakte hai

Lekin in apps ka use karke aap mobile se blogging kat sakoge aur ek successful blogger bhi banoge

To chlo jante hai kaunse hai blogging ke liye  5 jruri apps

Blogging ke liye jaruri top 5 apps
Blogging, android apps



App no. 1
Iss  app ka name hai. Sinium seo ye apps aapki mobile se blogging karne ke liye bahut help kar sakta hai
Aapko iss app me bahut se blogging tool mil jayenge jiske liye aapko net me koi dusri website me jane ki jarurat nhi padegi  agar mai aapko btau to isme kool 40 se 50 seo tool hai jinme mai aapko men 10 tool ke bare me bta rha hu
Jo iss prkar hai

1 alexa rank checking

2. Moz rank checking

3.  Seo report card

4.  Broken link finder

5.  Mobile friendly test

6.   Backlink check

7.   Backlink bold

8.    Meta tag generate

9.    Image optimizer

10.    Keyword suggest

Ye sirf 10 tool the jo iss app me hai
Agar mai 40 tool jo isme hai wo btaunga to post bahut lambi ho jayegi

Read this Blog me live cricket score wedjet apne blog par kaise lgaye

To friends ye app aapke mobile se blogging karne me bahut help kar sakti hai  isko download krne ke liye niche link me click kare

Download sinium seo app



App no. 2
Iss app ka name hai

Quick edit
Ye  app to mobile se blogging karne ke liye bahut jaruri
Iss aap ka kam aapke liye aur bhi jyada help karega mobile se blogging karne ke liye

Friends iss app ka kame hai  blog template ya HTML cod edit karna
Aapne  dekha hoga jab koi cod meta tag verification cod adsense verify cod aapko blog template me lgane ke liye diya jata hai to aapko ye karne ke liye computer ki jarurat hoti hai lekin ye apps ye sab kar dengi bina computer ke
Iss app ke bare me puri jankari aur iss app se cod editing ki puri details
Aap yha click karke dekh sakte ho


App no. 3
Friends iss app ka name hai
Adsense jo aap jante hee honge
Agar nhi jante to mai aapko bta du ki
Ye app aapki adsense earning ki sari jankari aapko mobile app ke dwara aashani se bta deta hai
Aur mobile se blogging ke liye ye bhi kahi nn kahi aapke liye helpful ho sakta hai
Isko download karne ke liye
Niche click kare


Click here download adsense app


App no 4 
Iss app ka name hai blogger or wordpress
Syd aapko pta nhi hoga ki blogger wordpress ka app bhi hoga
Ji ha friends in app ka use karke aap
Aashani se apni sari post ko dekh payenge ki kitni post aapne likhi hai kitne vives hai aur new post bhi aap yha se likh sakte hai jo aapki bahut help krega post likhne e
Agar aapka blog wordpress par hai to aap wordpress install kare agar blogger me hai to blogger app install kar sakte ho
Install karne ke liye niche link me click kare

Download blogger   
Download wordpress


App no 5

Iss app ka name hai Google analytics
Ye app aapke viver ki sari jankari aapko deta rehta hai aapko aapke viver ki jo bhi jankari jaise aapke website me kitne log abhi on hai aur kya kar rahe hai kaunse state se hai ye sab aap iss app ke madhyam se dekh payenge

Iss app ko install karne ke liye niche link me click kare

Download google analytics


Read this  Blog ke liye best unique logo kaise bnaye free me



Ye thi wo 5 best app jo blogging ke liye hai jaruri 

Note# Friends aapke jankari ke liye btadu ki mai bhi in apps ka use karke mobile se hee blogging krta hu

Previous article
Next article

Leave Comments

Post a Comment

Comment here

Ads Atas Artikel

Ads Tengah Artikel 1

Ads Tengah Artikel 2

Ads Bawah Artikel